Friday 22 August 2014

Inqilab Ya Mulk by Javed Chaudhry



7 comments:

  1. Sir muje aap k aik aik lafz se itafaq ha par mera aap se sirf aik sawal ha. Ham sab jantay hain elections ma dhandli hoi. PPP or PML N k hukmarano par corruption k ilzamaat hain or kuch cases ma to inko Court ki taraf se saza ka hukam b ha. Lekin aaj tak inse aik paisr ka hisaab ni hua aik b amal par saza ni hoi kiun?? Har dafa Aaeen is baat ki ijazat nahi deti. Kuch saal pehle Swiss banks se paisa wapis laane ki baat hoi to pata chala aaeen ma Sadar ko istashna haasil ha. Ab sab jaantay hain k elections ma dhandli hoi ha par aaeen is baat ki ijazat nahi deta k PM ki pakar ho sakay ya adalat is baat ka notice le sakay. Sir meri aap se guzarish ha please aap btaen aaeen ma reh kar aaeen ko kese theek karain? Aglay elections ka intazar karain usme jitni ho sakay jese ho sakay dhandli karain phir parliament ma awaami mandate k naam par govt bnaen or phir qanoon ma islahaat karain? Kia ye tariqa sahi hoga? Jab is moqa par sab choor aik dosre ka sath de saktay hain to parliament ma kese wo koi qaraardaad manzur hone dain gay jo baad ma unka hi girebaan pakray gi.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Main PML-N ko support to nahi karta, laikin ye baat haqiqat hai ke balochistan mein alahidgi pasand tehreeken ghair-mulki fund par chalai ja rahi hain. Halat pehle hi kharab hain. Agar hum Nawaz hakumat ko khatam karen ge to khatra hai ke kahin hum balochistan jaise ahem soobey ko khuda-na-khwasta kho na den. Nawaz sahreef chahe jaisi bhi hakumat kar raha hai, laikin wo ahista ahista aisi alahidgi pasand tehreekon ko zrur control kar le ga. Baqi awam ka paisa kis ne harap nahi kya aj tak jo ye chhor de ga. Jo log electiopn mein kroron rupay laga kar hakumat hasil karte hain, unhon ne wo paisa awam ki jaib se hi nikalna hai...

      Delete
  2. na ji na Parliment se kuch nai hota.. aap bi galt bol rahe ho Chaudhry sahab.. Shariat ka nifaz karo.. sahi tara se Qurran ka nizam rahij kro.. aapne jo bi likha bahoot kubsurat likha per natija usi nizam ka nikala jo intehai ghatia or bekar hai muslmano k lye... ya to Awam ko khuch rakhne wala nizam le ao.. ya Allah ko khuch karne wala nizam...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Very good Ali aliea. Shariat ka nifaz waqai sab kuchh theek kar de ga. Laikin maujuda nizam mein shariat ka nifaz na-mumkin lagta hai, kyunke jo bhi log ba-ikhtiar hain un mein se kisi mein bhi itni ehliat nahi ke wo sahi manon mein shariat ka nifaz kar saken, aur awam mein se kis ke pas itni taqat nahi ke wo ye kaam kar sake.

      Delete
  3. Thik farmaya CH sb but pehly khud awam ko apna aap bdlna hoga.is mulkme awaam khud apna kaam kisi dosry sy pehly krwane k chakar me rishwat deti hy chahy wo ik sweeper sy mohally ki safaee q na krwani ho.jab ik sweeper he qabo me nhi hy to top level tak Jana intehaee bewqoofi hy

    ReplyDelete
  4. I agree with you Ch. saab... Just for the sake of PM seat humary leaders khwah wo imran khan sahab hon qadri sahab hon ya koi b ho wo humari awaam ko dao pr lga rhy hain
    Qadri sahab humari awam ko jang or badly leny wali ahadees to sunaty hain pr aman peacee maafi or brdbaari wali ahadees ni sunaty.... humary leaders auraton ki izzat ko to bilkul bhool chukky hain auraton or bchon ko apni safety k liye use krty hain... but u knw the main problem ghalt humary leader ni humari awaam hy jo aankhaib bnd kr k leader k peechy chlti hy un ko kisi sahi galat ki tameex nhi hy

    ReplyDelete
  5. lkin plz aapistarh ki jumla bazi to kare k sirf ek shakhs ne bulletproof jacket pehni he.....halanke is se pehle ek column me aap ne khud imran ko ye mashwara dya tha....ikhtilaf me apni bato se u- turn tona le

    ReplyDelete